KHud shishe ke ghar mein baiThe patthar phenken auron par
KHud shishe ke ghar mein baiThe patthar phenken auron par
Uroosa Jilani
MORE BYUroosa Jilani
ḳhud shīshe ke ghar meñ baiThe patthar pheñkeñ auroñ par
zaḳhmī log pukāreñ bhī to tohmat aa.e logoñ par
apnī apnī soch meñ gum-sum bhaag rahe haiñ saare log
ḳhauf-o-hirās ke ab pahre haiñ hañste baste shahroñ par
chāroñ samt musāfir chīḳheñ patthar kī mānind maiñ chup
bahr kināre dekh rahā huuñ TuuTī kashtī lahroñ par
ham logoñ ne jo sochā hai likkhā hai be-ḳhaufī se
hākim logoñ ne to ḳhuub lagā.e pahre sochoñ par
KHud shishe ke ghar mein baiThe patthar phenken auron par
zaKHmi log pukaren bhi to tohmat aae logon par
apni apni soch mein gum-sum bhag rahe hain sare log
KHauf-o-hiras ke ab pahre hain hanste baste shahron par
chaaron samt musafir chiKHen patthar ki manind main chup
bahr kinare dekh raha hun TuTi kashti lahron par
hum logon ne jo socha hai likkha hai be-KHaufi se
hakim logon ne to KHub lagae pahre sochon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.