KHud wo aate agar yaqin hota
ḳhud vo aate agar yaqīñ hotā
dard pursish talab nahīñ hotā
dil to kyā jaan tak fidā karte
tum sā lekin koī hasīñ hotā
sajda karte hazār baar magar
koī dar lā.eq-e-jabīñ hotā
is meñ shāmil jo hotā zikr un kā
ye fasāna bahut hasīñ hotā
tere va.adoñ pe bhī yaqīñ karte
ham ko dil par agar yaqīñ hotā
dil pe jab tak na us ke choT aa.e
aadmī kaam kā nahīñ hotā
baada marġhūb-e-dil hai talḳhī se
zahr hotā jo añgbīñ hotā
hastī-e-be-sabāt kā 'sāhir'
naqsh koī to dil-nashīñ hotā
KHud wo aate agar yaqin hota
dard pursish talab nahin hota
dil to kya jaan tak fida karte
tum sa lekin koi hasin hota
sajda karte hazar bar magar
koi dar laeq-e-jabin hota
is mein shamil jo hota zikr un ka
ye fasana bahut hasin hota
tere wadon pe bhi yaqin karte
hum ko dil par agar yaqin hota
dil pe jab tak na us ke choT aae
aadmi kaam ka nahin hota
baada marghub-e-dil hai talKHi se
zahr hota jo angbin hota
hasti-e-be-sabaat ka 'sahir'
naqsh koi to dil-nashin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.