KHuda asar se bachae is aastane ko
ḳhudā asar se bachā.e is āstāne ko
du'ā chalī hai mirī qismat āzmāne ko
na pūchhiye ki mohabbat meñ mujh pe kyā guzrī
na chheḌiye mire bhūle hue fasāne ko
ye sho'bade ye karishme kise mayassar the
tirī nigāh ne sikhlā diye zamāne ko
chaman meñ barq ne jhāñkā ki ham laraz uTThe
ab is se aag hī lag jaa.e āshiyāne ko
ḳhayāl-e-yār bhī khoyā huā sā rahtā hai
ab un kī yaad bhī aatī hai bhuul jaane ko
nigāh-e-lutf na farmā nigāh-e-nāz ke baa'd
jigar meñ aag lagā kar na aa bujhāne ko
zamāna bar-sar-e-āzār thā magar 'fānī'
taḌap ke ham ne bhī taḌpā diyā zamāne ko
KHuda asar se bachae is aastane ko
du'a chali hai meri qismat aazmane ko
na puchhiye ki mohabbat mein mujh pe kya guzri
na chheDiye mere bhule hue fasane ko
ye sho'bade ye karishme kise mayassar the
teri nigah ne sikhla diye zamane ko
chaman mein barq ne jhanka ki hum laraz uTThe
ab is se aag hi lag jae aashiyane ko
KHayal-e-yar bhi khoya hua sa rahta hai
ab un ki yaad bhi aati hai bhul jaane ko
nigah-e-lutf na farma nigah-e-naz ke ba'd
jigar mein aag laga kar na aa bujhane ko
zamana bar-sar-e-azar tha magar 'fani'
taDap ke hum ne bhi taDpa diya zamane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.