Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda hona b mushkil hai banda hona b mushkil hai

Qurbi Velori

KHuda hona b mushkil hai banda hona b mushkil hai

Qurbi Velori

MORE BYQurbi Velori

    ḳhudā honā b mushkil hai banda honā b mushkil hai

    samajhtā hai nukte kuuñ jo aarif sāhib-e-dil hai

    ḳhudā hai masdar-e-mutlaq bandā us suuñ hai mushtaq

    jidhar dekhe udhar hai haq vale pindār haa.il hai

    ḳhudā ma.abūd hai mutlaq bandā maujūd hai mutlaq

    u donoñ mutlaq-e-bar-haq samajh har yak mushkil hai

    ḳhudā hai banda banda hai ḳhudā chashm-e-yaqīñ so dek

    bhī donoñ ġhair yak-e-dīgar yahī irfān-e-kāmil hai

    bandā hai apnī tafsīlāt suuñ zāt-e-ḳhudā mutlaq

    sifat hor fe.al-o-qaul us mutlaq-pan ko shāmil hai

    mazāhir is ke kyuuñ mutlaq-pane suuñ hoveñge ḳhārij

    u sūrat ġhaur suuñ to dek ā.īne meñ hāsil hai

    nikāt-e-ishq asrār-e-ḳhudā haiñ begamāñ 'qurbī'

    jane asrār ko bujyā vahī haq saat vāsil hai

    KHuda hona b mushkil hai banda hona b mushkil hai

    samajhta hai yu nukte kun jo aarif sahib-e-dil hai

    KHuda hai masdar-e-mutlaq banda bi us sun hai mushtaq

    jidhar dekhe udhar hai haq wale pindar hail hai

    KHuda mabud hai mutlaq banda maujud hai mutlaq

    u donon mutlaq-e-bar-haq samajh har yak ka mushkil hai

    KHuda hai banda banda hai KHuda chashm-e-yaqin so dek

    bhi donon ghair yak-e-digar yahi irfan-e-kaamil hai

    banda hai apni tafsilat sun zat-e-KHuda mutlaq

    sifat hor feal-o-qaul us ka bi mutlaq-pan ko shamil hai

    mazahir is ke kyun mutlaq-pane sun howenge KHarij

    u surat ghaur sun to dek aaine mein hasil hai

    nikat-e-ishq asrar-e-KHuda hain begaman 'qurbi'

    jane asrar ko bujya wahi haq sat wasil hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now