KHuda ke fazl se hum haq pe hain baatil se kya nisbat
KHuda ke fazl se hum haq pe hain baatil se kya nisbat
Parveen Umm-e-Mushtaq
MORE BYParveen Umm-e-Mushtaq
ḳhudā ke fazl se ham haq pe haiñ bātil se kyā nisbat
hameñ tum se ta.alluq hai mah-e-kāmil se kyā nisbat
mah-e-kan.āñ ko mere is mah-e-kāmil se kyā nisbat
zuleḳhā ke mulavvis dil ko mere dil se kyā nisbat
hama kā ram zi-ḳhud-kāmī ba-badnāmī kashīd āḳhir
kabhī maiñ ne na sochā raaz ko mahfil se kyā nisbat
kahe jaatā hai jo vaa.iz sune jaate haiñ ham lekin
jo ahl-e-dil nahīñ us ko hamāre dil se kyā nisbat
mujhe hai sadma-e-hijrāñ adū ko saikḌoñ ḳhushiyāñ
mire ujḌe hue ghar ko bharī mahfil se kyā nisbat
ḳhudā hī phir bharosa hai ḳhudā hai nāḳhudā merā
vagarna maiñ bhañvar meñ huuñ mujhe sāhil se kyā nisbat
firāq-e-yār meñ merā dil-e-muztar na Thahregā
tumhīñ socho sukūñ ko tā.ir-e-bismil se kyā nisbat
kanīz-e-hazrat-e-mushkil-kushā huuñ dil se maiñ 'parvīñ'
ta.alluq mujh ko āsānī se hai mushkil se kyā nisbat
KHuda ke fazl se hum haq pe hain baatil se kya nisbat
hamein tum se talluq hai mah-e-kaamil se kya nisbat
mah-e-kanan ko mere is mah-e-kaamil se kya nisbat
zuleKHa ke mulawwis dil ko mere dil se kya nisbat
hama ka ram zi-KHud-kaami ba-badnami kashid aaKHir
kabhi main ne na socha raaz ko mahfil se kya nisbat
kahe jata hai jo waiz sune jate hain hum lekin
jo ahl-e-dil nahin us ko hamare dil se kya nisbat
mujhe hai sadma-e-hijran adu ko saikDon KHushiyan
mere ujDe hue ghar ko bhari mahfil se kya nisbat
KHuda hi phir bharosa hai KHuda hai naKHuda mera
wagarna main bhanwar mein hun mujhe sahil se kya nisbat
firaq-e-yar mein mera dil-e-muztar na Thahrega
tumhin socho sukun ko tair-e-bismil se kya nisbat
kaniz-e-hazrat-e-mushkil-kusha hun dil se main 'parwin'
talluq mujh ko aasani se hai mushkil se kya nisbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.