KHuda ke waste ai yar hum sin aa mil ja
ḳhudā ke vāste ai yaar ham siiñ aa mil jā
diloñ kī khol ghunDī ġhunche kī tarah khil jā
jigar meñ chashm ke hotiyāñ haiñ daaġh tab putliyāñ
nazar siiñ oT tirā gaal jab ki ik til jā
junūñ ke jaam kuuñ le shīsha-e-sharāb ko toḌ
ḳhirad galī siiñ parī pīkarāñ kī be-dil jā
añkhiyoñ siiñ jaan bachānā nazar tab aatā hai
taḌaph meñ chhoḌ ke bismil ko jab ki qātil jā
hayā kuuñ ġhair suuñ mat garm mil ke de barbād
na ho ki 'ābrū' is tarah ḳhaak meñ mil jā
KHuda ke waste ai yar hum sin aa mil ja
dilon ki khol ghunDi ghunche ki tarah khil ja
jigar mein chashm ke hotiyan hain dagh tab putliyan
nazar sin oT tera gal jab ki ek til ja
junun ke jam kun le shisha-e-sharab ko toD
KHirad gali sin pari pikaran ki be-dil ja
ankhiyon sin jaan bachana nazar tab aata hai
taDaph mein chhoD ke bismil ko jab ki qatil ja
haya kun ghair sun mat garm mil ke de barbaad
na ho ki 'abru' is tarah KHak mein mil ja
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.