Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda ke zikr mein mashghul hain jo mast pahaD

Faisal Nadeem Faisal

KHuda ke zikr mein mashghul hain jo mast pahaD

Faisal Nadeem Faisal

MORE BYFaisal Nadeem Faisal

    ḳhudā ke zikr meñ mashġhūl haiñ jo mast pahāḌ

    samajh ga.e haiñ yaqīnan adā-e-vaqt pahāḌ

    hamārī zaat ta.ajjub ek duniyā hai

    kahīñ pe jhiil samundar kahīñ daraḳht pahāḌ

    tumhāre saath duā.eñ atā.eñ zād-e-safar

    hamāre saath musalsal sarāb dasht pahāḌ

    ḳhabar havā se milī hai tumhārī aamad

    magar ise bhī samajhte haiñ auj-baḳht pahāḌ

    jo chal paḌe to Thaharne phir javāz nahīñ

    hamāre hausle 'faisal' ki jaise saḳht pahāḌ

    KHuda ke zikr mein mashghul hain jo mast pahaD

    samajh gae hain yaqinan ada-e-waqt pahaD

    hamari zat tajjub ki ek duniya hai

    kahin pe jhil samundar kahin daraKHt pahaD

    tumhaare sath duaen ataen zad-e-safar

    hamare sath musalsal sarab dasht pahaD

    KHabar hawa se mili hai tumhaari aamad ki

    magar ise bhi samajhte hain auj-baKHt pahaD

    jo chal paDe to Thaharne ka phir jawaz nahin

    hamare hausle 'faisal' ki jaise saKHt pahaD

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now