KHuda ki shan hai in mein agar mehr-o-wafa hoti
ḳhudā kī shaan hai in meñ agar mehr-o-vafā hotī
to phir ye but jidhar hote udhar ḳhalq-e-ḳhudā hotī
jafā vo tark karte gar unheñ qadr-e-vafā hotī
nazar nīchī to jab hotī ki āñkhoñ meñ hayā hotī
hazāroñ gāliyāñ vo de rahe the be-ḳhatā mujh ko
jo pūchhā baat kyā hai jal ke bole baat kyā hotī
tirā va.ada hamārī aarzū bekār haiñ donoñ
jo ye hotā to kyā hotā jo vo hotī to kyā hotī
ḳhudā ne ḳhair kar lī hote hote rah ga.ī hujjat
mirī un kī agar hotī to phir be-intihā hotī
adū kā zikr ḳhud chheḌā hai ḳhud hī mujh se bigḌe haiñ
ġhazab hotā agar merī taraf se ibtidā hotī
na letā naam bhī 'mahmūd' un kāfir butoñ kā tū
samajh gar tujh meñ thoḌī bhī are mard-e-ḳhudā hotī
KHuda ki shan hai in mein agar mehr-o-wafa hoti
to phir ye but jidhar hote udhar KHalq-e-KHuda hoti
jafa wo tark karte gar unhen qadr-e-wafa hoti
nazar nichi to jab hoti ki aankhon mein haya hoti
hazaron galiyan wo de rahe the be-KHata mujh ko
jo puchha baat kya hai jal ke bole baat kya hoti
tera wada hamari aarzu bekar hain donon
jo ye hota to kya hota jo wo hoti to kya hoti
KHuda ne KHair kar li hote hote rah gai hujjat
meri un ki agar hoti to phir be-intiha hoti
adu ka zikr KHud chheDa hai KHud hi mujh se bigDe hain
ghazab hota agar meri taraf se ibtida hoti
na leta nam bhi 'mahmud' un kafir buton ka tu
samajh gar tujh mein thoDi bhi are mard-e-KHuda hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.