KHuda ki sharm na kuchh ehtiram masjid ka
ḳhudā kī sharm na kuchh ehtirām masjid kā
lagā huā hai dukānoñ pe naam masjid kā
ba-hukm-e-ishq jhukā us ke sāmne varna
vo devī aur maiñ beTā imaam masjid kā
ye ḳhuun thūktī maḳhlūq usī kā kunba hai
samajh liyā jise tum ne tamām masjid kā
ajiib qahr hai mimbar pe tanz karte haiñ
vo log muñh bhī hai jin par harām masjid kā
haqīqatan to 'zubair' aage ma.abad-e-dil ke
jo koī samjhe to kam hai maqām masjid kā
KHuda ki sharm na kuchh ehtiram masjid ka
laga hua hai dukanon pe nam masjid ka
ba-hukm-e-ishq jhuka us ke samne warna
wo dewi aur main beTa imam masjid ka
ye KHun thukti maKHluq usi ka kunba hai
samajh liya jise tum ne tamam masjid ka
ajib qahr hai mimbar pe tanz karte hain
wo log munh bhi hai jin par haram masjid ka
haqiqatan to 'zubair' aage mabad-e-dil ke
jo koi samjhe to kam hai maqam masjid ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.