KHuda ko aazmana chahta hun
ḳhudā ko āzmānā chāhtā huuñ
maiñ ye duniyā jalānā chāhtā huuñ
kisī shā.ir se us kī zindagī ke
maiñ saare ġham churānā chāhtā huuñ
maiñ rūh-e-'jaun' ko jannat meñ jā kar
gale kas kar lagānā chāhtā huuñ
tirī chhat par Tañge sab pairahan se
tirī ḳhushbū churānā chāhtā huuñ
faqat mad.hosh ho kar kyā maza hai
maiñ pī kar laḌkhaḌānā chāhtā huuñ
ghaḌī ke kāñToñ ko ulTā ghumā kar
samay ko maiñ bachānā chāhtā huuñ
shajar ko kaaT kar maiñ ḳhuub royā
maiñ apnā ghar banānā chāhtā huuñ
na.e hāthoñ meñ maiñ pustak thamā kar
sabhī sarhad miTānā chāhtā huuñ
use kah kar kī ab bhī hai mohabbat
maiñ us kā dil dukhānā chāhtā huuñ
kisī ma.asūm bachche kī tarah maiñ
ḳhudā ko sab batānā chāhtā huuñ
KHuda ko aazmana chahta hun
main ye duniya jalana chahta hun
kisi shair se us ki zindagi ke
main sare gham churana chahta hun
main ruh-e-'jaun' ko jannat mein ja kar
gale kas kar lagana chahta hun
teri chhat par Tange sab pairahan se
teri KHushbu churana chahta hun
faqat madhosh ho kar kya maza hai
main pi kar laDkhaDana chahta hun
ghaDi ke kanTon ko ulTa ghuma kar
samay ko main bachana chahta hun
shajar ko kaT kar main KHub roya
main apna ghar banana chahta hun
nae hathon mein main pustak thama kar
sabhi sarhad miTana chahta hun
use kah kar ki ab bhi hai mohabbat
main us ka dil dukhana chahta hun
kisi masum bachche ki tarah main
KHuda ko sab batana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.