KHuda ko bhi nahin dil manta hai
ḳhudā ko bhī nahīñ dil māntā hai
mohabbat hī mohabbat jāntā hai
kahīñ ho laḌ hī jaatī haiñ nigāheñ
vo dil ko dil use pahchāntā hai
kalīd-e-bāġh us ke baḳht meñ hai
paḌā jo ḳhāk-e-sahrā chhāntā hai
dayār-e-ġham hai fir.aunoñ kī bastī
koī kis ko yahāñ gardāntā hai
kal us se pūchh leñge haal hai kyā
bahut jo aaj siina tāntā hai
kahīñ se DhūñD kar laao 'jigar' ko
ilāj-e-dard-e-dil vo jāntā hai
KHuda ko bhi nahin dil manta hai
mohabbat hi mohabbat jaanta hai
kahin ho laD hi jati hain nigahen
wo dil ko dil use pahchanta hai
kalid-e-bagh us ke baKHt mein hai
paDa jo KHak-e-sahra chhanta hai
dayar-e-gham hai firaunon ki basti
koi kis ko yahan gardanta hai
kal us se puchh lenge haal hai kya
bahut jo aaj sina tanta hai
kahin se DhunD kar lao 'jigar' ko
ilaj-e-dard-e-dil wo jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.