KHuda ko bhulna aasan hai
ḳhudā ko bhūlnā āsān hai
hamārā mas.ala insān hai
batā do apne dil se pūchh kar
mire jiine kā kyā imkān hai
yahāñ to krishn bhī haiñ kans bhī
hamārā 'ishq hindustān hai
zarūrat hī nahīñ hai naam kī
tirī ḳhushbū mirī pahchān hai
idhar bhī pheñkiye ḳhanjar koī
hamāre jism meñ bhī jaan hai
sitāroñ par qanā'at kījiye
hamārī chhat bahut vīrān hai
KHuda ko bhulna aasan hai
hamara masala insan hai
bata do apne dil se puchh kar
mere jine ka kya imkan hai
yahan to krishn bhi hain kans bhi
hamara 'ishq hindustan hai
zarurat hi nahin hai nam ki
teri KHushbu meri pahchan hai
idhar bhi phenkiye KHanjar koi
hamare jism mein bhi jaan hai
sitaron par qana'at kijiye
hamari chhat bahut viran hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 25)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.