KHuda mere dil-e-pur-KHun ko dagh-dar kare
ḳhudā mire dil-e-pur-ḳhūñ ko dāġh-dār kare
jo lāla-zār mirī ḳhaak se bahār kare
murād-e-dil hai yahī ārzu-e-dil hai yahī
ḳhudā mujhe tirī ulfat se ishtihār kare
banā hai shīsha-e-sā.at mirā dil-e-nāzuk
ġhubār-e-ḳhātir-e-yārāñ kā tā shumār kare
farautnī ke tasadduq se hai subu-parvāz
na sar-kashī pe sharar apnī iftiḳhār kare
KHuda mere dil-e-pur-KHun ko dagh-dar kare
jo lala-zar meri KHak se bahaar kare
murad-e-dil hai yahi aarzu-e-dil hai yahi
KHuda mujhe teri ulfat se ishtihaar kare
bana hai shisha-e-saat mera dil-e-nazuk
ghubar-e-KHatir-e-yaran ka ta shumar kare
farautni ke tasadduq se hai subu-parwaz
na sar-kashi pe sharar apni iftiKHar kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.