KHuda ne kyun dil-e-dard-ashna diya hai mujhe
ḳhudā ne kyuuñ dil-e-dard-āshnā diyā hai mujhe
is āgahī ne to pāgal banā diyā hai mujhe
tumhī ko yaad na kartā to aur kyā kartā
tumhāre ba.ad sabhī ne bhulā diyā hai mujhe
sa.ūbatoñ meñ safar kī kabhī jo niiñd aa.ī
mire badan kī thakan ne uThā diyā hai mujhe
maiñ vo charāġh huuñ jo āñdhiyoñ meñ raushan thā
ḳhud apne ghar kī havā ne bujhā diyā hai mujhe
bas ek tohfa-e-iflās ke sivā 'sāqī'
mashaqqatoñ ne mirī aur kyā diyā hai mujhe
KHuda ne kyun dil-e-dard-ashna diya hai mujhe
is aagahi ne to pagal bana diya hai mujhe
tumhi ko yaad na karta to aur kya karta
tumhaare baad sabhi ne bhula diya hai mujhe
saubaton mein safar ki kabhi jo nind aai
mere badan ki thakan ne uTha diya hai mujhe
main wo charagh hun jo aandhiyon mein raushan tha
KHud apne ghar ki hawa ne bujha diya hai mujhe
bas ek tohfa-e-iflas ke siwa 'saqi'
mashaqqaton ne meri aur kya diya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.