KHudaon ki KHudai ho chuki bas
ḳhudāoñ kī ḳhudā.ī ho chukī bas
ḳhudārā bas duhā.ī ho chukī bas
kisī Dhab se nipaT lo jab mazā hai
bahut zor-āzmā.ī ho chukī bas
bujhā.e kaun tū jis ko jalā.e
patañgoñ kī chaḌhā.ī ho chukī bas
havā meñ uḌ gayā ek ek pattā
guloñ kī jag-hañsā.ī ho chukī bas
bhalā ab kyā jachūñ apnī nazar meñ
nazar apnī parā.ī ho chukī bas
rahā kyā jab diloñ meñ farq aayā
usī din se judā.ī ho chukī bas
paḌe ho kaun se goshe meñ tanhā
'yagānā' kyuuñ ḳhudā.ī ho chukī bas
KHudaon ki KHudai ho chuki bas
KHudara bas duhai ho chuki bas
kisi Dhab se nipaT lo jab maza hai
bahut zor-azmai ho chuki bas
bujhae kaun tu jis ko jalae
patangon ki chaDhai ho chuki bas
hawa mein uD gaya ek ek patta
gulon ki jag-hansai ho chuki bas
bhala ab kya jachun apni nazar mein
nazar apni parai ho chuki bas
raha kya jab dilon mein farq aaya
usi din se judai ho chuki bas
paDe ho kaun se goshe mein tanha
'yagana' kyun KHudai ho chuki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.