Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHudaya bhej de koi dawa udasi ki

Hashim Raza Jalalpuri

KHudaya bhej de koi dawa udasi ki

Hashim Raza Jalalpuri

MORE BYHashim Raza Jalalpuri

    ḳhudāyā bhej de koī davā udāsī

    jahāñ meñ phail rahī hai vabā udāsī

    mujhe shadīd udāsī sāmnā hogā

    so merī maañ ne sikhā duā udāsī

    ik aisī shām-e-sitam aa.ī thī sitāroñ ne

    saroñ pe oḌhī thī kaalī ridā udāsī

    na-jāne kaun ġham hai miyān-e-dīda-o-dil

    barastī rahtī hai paiham ghaTā udāsī

    namāz-e-ishq musalle pe kab adā huī hai

    azā farsh karb-o-balā udāsī

    mirī panāh meñ aao ai dard ke maaro

    tamām dahr meñ gūñjī sadā udāsī

    udāsiyoñ ināyat hai kār-hā-e-suḳhan

    mire liye to jazā hai sazā udāsī

    ġhamoñ dhuup se saa.e meñ aa ga.e 'hāshim'

    magar kisī ne na pūchhī 'razā' udāsī

    KHudaya bhej de koi dawa udasi ki

    jahan mein phail rahi hai waba udasi ki

    mujhe shadid udasi ka samna hoga

    so meri man ne sikha di dua udasi ki

    ek aisi sham-e-sitam aai thi sitaron ne

    saron pe oDhi thi kali rida udasi ki

    na-jaane kaun sa gham hai miyan-e-dida-o-dil

    barasti rahti hai paiham ghaTa udasi ki

    namaz-e-ishq musalle pe kab ada hui hai

    aza ka farsh ya karb-o-bala udasi ki

    meri panah mein aao ai dard ke maro

    tamam dahr mein gunji sada udasi ki

    udasiyon ki inayat hai kar-ha-e-suKHan

    mere liye to jaza hai saza udasi ki

    ghamon ki dhup se sae mein aa gae 'hashim'

    magar kisi ne na puchhi 'raza' udasi ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now