KHudaya zaKHmon mein shiddat-e-dard aur bhi kuchh shadid kar de
KHudaya zaKHmon mein shiddat-e-dard aur bhi kuchh shadid kar de
Fayyaz Uddin Saieb
MORE BYFayyaz Uddin Saieb
ḳhudāyā zaḳhmoñ meñ shiddat-e-dard aur bhī kuchh shadīd kar de
phir is ke ba.ad in tamām zaḳhmoñ se ik suḳhan tū kashīd kar de
machalnā ai dil burā nahīñ hai to zid bhī karnā durust kab hai
kisī kī āñkheñ nahīñ khilaunā jo koī tujh ko ḳharīd kar de
sabhī ne dekhā hai qatl hote magar koī boltā nahīñ hai
mujhī ko yārab zabān de kar ye vāqi.a chashm-dīd kar de
tirī jazā-o-sazā kī mantiq hamāre afkār se sivā hai
tū jis ko chāhe husain kar de tū jis ko chāhe yazīd kar de
ibādatoñ ke liye imārāt muḳhtalif haiñ ḳhudā vahī hai
to chāhe mandir ko toḌ Daale ki koī masjid shahīd kar de
KHudaya zaKHmon mein shiddat-e-dard aur bhi kuchh shadid kar de
phir is ke baad in tamam zaKHmon se ek suKHan tu kashid kar de
machalna ai dil bura nahin hai to zid bhi karna durust kab hai
kisi ki aankhen nahin khilauna jo koi tujh ko KHarid kar de
sabhi ne dekha hai qatl hote magar koi bolta nahin hai
mujhi ko yarab zaban de kar ye waqia chashm-did kar de
teri jaza-o-saza ki mantiq hamare afkar se siwa hai
tu jis ko chahe husain kar de tu jis ko chahe yazid kar de
ibaadaton ke liye imaraat muKHtalif hain KHuda wahi hai
to chahe mandir ko toD Dale ki koi masjid shahid kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.