KHuddariyon ke KHun ko arzan na kar sake
ḳhuddāriyoñ ke ḳhuun ko arzāñ na kar sake
ham apne jauharoñ ko numāyāñ na kar sake
ho kar ḳharāb-e-mai tire ġham to bhulā diye
lekin ġham-e-hayāt kā darmāñ na kar sake
TuuTā tilism-e-ahd-e-mohabbat kuchh is tarah
phir aarzū kī sham.a firozāñ na kar sake
har shai qarīb aa ke kashish apnī kho ga.ī
vo bhī ilāj-e-shauq-e-gurezāñ na kar sake
kis darja dil-shikan the mohabbat ke hādse
ham zindagī meñ phir koī armāñ na kar sake
māyūsiyoñ ne chhīn liye dil ke valvale
vo bhī nashāt-e-rūh kā sāmāñ na kar sake
KHuddariyon ke KHun ko arzan na kar sake
hum apne jauharon ko numayan na kar sake
ho kar KHarab-e-mai tere gham to bhula diye
lekin gham-e-hayat ka darman na kar sake
TuTa tilism-e-ahd-e-mohabbat kuchh is tarah
phir aarzu ki shama firozan na kar sake
har shai qarib aa ke kashish apni kho gai
wo bhi ilaj-e-shauq-e-gurezan na kar sake
kis darja dil-shikan the mohabbat ke hadse
hum zindagi mein phir koi arman na kar sake
mayusiyon ne chhin liye dil ke walwale
wo bhi nashat-e-ruh ka saman na kar sake
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 36)
- Author : Sahir Ludhyanwi
- Publication : Farid Book Depot (pvt.) Ltd. New Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.