aankhon se ku-e-yar ka manzar nahin gaya
āñkhoñ se kū-e-yār kā manzar nahīñ gayā
hālāñki das baras se maiñ us ghar nahīñ gayā
us ne mazāq meñ kahā maiñ ruuTh jā.ūñgī
lekin mare vajūd se ye Dar nahīñ gayā
sāñseñ udhār le ke guzārī hai zindagī
hairān vo bhī thī ki maiñ kyoñ mar nahīñ gayā
shām-e-vidā.a laakh tasallī ke bāvajūd
āñkhoñ se us kī dukh kā samundar nahīñ gayā
us ghar kī sīḌhiyoñ ne sadā.eñ to diiñ magar
maiñ ḳhvāb meñ rahā kabhī uupar nahīñ gayā
bachchoñ ke saath aaj use dekhā to dukh huā
un meñ se koī ek bhī maañ par nahīñ gayā
pairoñ meñ naqsh ek hī dahlīz thī 'hasan'
us ke sivā maiñ aur kisī dar nahīñ gayā
aankhon se ku-e-yar ka manzar nahin gaya
haalanki das baras se main us ghar nahin gaya
us ne mazaq mein kaha main ruTh jaungi
lekin mare wajud se ye Dar nahin gaya
sansen udhaar le ke guzari hai zindagi
hairan wo bhi thi ki main kyon mar nahin gaya
sham-e-widaa lakh tasalli ke bawajud
aankhon se us ki dukh ka samundar nahin gaya
us ghar ki siDhiyon ne sadaen to din magar
main KHwab mein raha kabhi upar nahin gaya
bachchon ke sath aaj use dekha to dukh hua
un mein se koi ek bhi man par nahin gaya
pairon mein naqsh ek hi dahliz thi 'hasan'
us ke siwa main aur kisi dar nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.