Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHudi ko bhul kar maine kise mahbub tha jaana

Atir Ali Syed

KHudi ko bhul kar maine kise mahbub tha jaana

Atir Ali Syed

MORE BYAtir Ali Syed

    ḳhudī ko bhuul kar maiñ ne kise mahbūb thā jaanā

    mohabbat ke jo laa.iq hai vo hastī maiñ na pahchānā

    ki jis ko ishq kahte haiñ koī qābil nahīñ us ke

    bhalā jaanā to bas ishq-e-haqīqī ko bhalā jaanā

    kahīñ farhād shīrīñ the kahīñ lailā kahīñ thā qais

    anal-haq kyoñ kahā mansūr ne koī bhī na jaanā

    bhulā kar zaat vo jis ko hai bas iḳhtiyār-e-kun

    fir.aunī zaat ke logoñ ne ḳhud ko ḳhudā jaanā

    kudūrat se bhare dil haiñ magar da.ave mohabbat ke

    so aise buz-diloñ ke dil ko nafrat qila jaanā

    ye hañste chehre dhokā haiñ ye ḳhushiyoñ banāvaT haiñ

    ye shahr ābād dikhte haiñ haqīqat meñ hai vīrānā

    bahaknā us ko kahte haiñ to saaqī aur de mujh ko

    haq-o-bātil jo samjhā de bhale ho kyoñ na mai-ḳhāna

    nafī kar zaat 'ātir' ki saudā bhī nafe' hai

    jo paayā vo afzal hai jo khoyā vo bhī pahchānā

    KHudi ko bhul kar main ne kise mahbub tha jaana

    mohabbat ke jo laiq hai wo hasti main na pahchana

    ki jis ko ishq kahte hain koi qabil nahin us ke

    bhala jaana to bas ishq-e-haqiqi ko bhala jaana

    kahin farhad shirin the kahin laila kahin tha qais

    anal-haq kyon kaha mansur ne koi bhi na jaana

    bhula kar zat wo jis ko hi hai bas iKHtiyar-e-kun

    firauni zat ke logon ne KHud ko hi KHuda jaana

    kudurat se bhare dil hain magar dawe mohabbat ke

    so aise buz-dilon ke dil ko nafrat ka qila jaana

    ye hanste chehre dhoka hain ye KHushiyon ki banawaT hain

    ye shahr aabaad dikhte hain haqiqat mein hai virana

    bahakna us ko kahte hain to saqi aur de mujh ko

    haq-o-baatil jo samjha de bhale ho kyon na mai-KHana

    nafi kar zat ki 'atir' ki sauda bhi nafe' ka hai

    jo paya wo hi afzal hai jo khoya wo bhi pahchana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now