khul kar aaKHir jahl ka elan hona chahiye
khul kar āḳhir jahl kā elaan honā chāhiye
haq-parastoñ ke liye zindān honā chāhiye
is vatan meñ muqtadir hone kī pahlī shart hai
aadmī ke ruup meñ shaitān honā chāhiye
aap jaisoñ ko re.āyā jheltī hai kis tarah
aap ko to soch kar hairān honā chāhiye
niim mullā ḳhatra-e-īmān hotā hai agar
puurā mullā ġhāsib-e-īmān honā chāhiye
dil se sharminda huuñ ye ash.ār jo maiñ ne kahe
aap ke e.azāz meñ dīvān honā chāhiye
khul kar aaKHir jahl ka elan hona chahiye
haq-paraston ke liye zindan hona chahiye
is watan mein muqtadir hone ki pahli shart hai
aadmi ke rup mein shaitan hona chahiye
aap jaison ko reaya jhelti hai kis tarah
aap ko to soch kar hairan hona chahiye
nim mulla KHatra-e-iman hota hai agar
pura mulla ghasib-e-iman hona chahiye
dil se sharminda hun ye ashaar jo main ne kahe
aap ke eazaz mein diwan hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.