khul ke ro lene se dil halkan ho jaega kya
khul ke ro lene se dil halkān ho jā.egā kyā
muskurā dūñgā to sab āsān ho jā.egā kyā
maiñ agar apnī ḳhushī se ek din bhī kaaT luuñ
aap logoñ kā bahut nuqsān ho jā.egā kyā
vo merī duniyā kā hissa thī merī duniyā nahīñ
ek shajar kaTne se ban vīrān ho jā.egā kyā
din-ba-din rishtoñ kī zanjīreñ jakaḌtī jā.eñgī
rafta-rafta ghar merā zindān ho jā.egā kyā
khul ke ro lene se dil halkan ho jaega kya
muskura dunga to sab aasan ho jaega kya
main agar apni KHushi se ek din bhi kaT lun
aap logon ka bahut nuqsan ho jaega kya
wo meri duniya ka hissa thi meri duniya nahin
ek shajar kaTne se ban viran ho jaega kya
din-ba-din rishton ki zanjiren jakaDti jaengi
rafta-rafta ghar mera zindan ho jaega kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.