khule jo aah mein bab-e-asar na pahchane
khule jo aah meñ bāb-e-asar na pahchāne
ḳhushī kā rañg ġham-e-mo'tabar na pahchāne
uḌe jo chiil to dekhe lahū kī jhiil meñ aks
shafaq Dhale to sharīk-e-safar na pahchāne
ugeñ jo phuul to dhartī bhalī bhalī sī lage
zamīñ kā dard-e-tasavvur magar na pahchāne
havas ki ziist kare rail ke safar kī tarah
safar ke ba.ad sharīk-e-safar na pahchāne
tamām-rāt kā jaltā huā diyā na bujhe
shab-e-firāq naved-e-sahar na pahchāne
nigāh jaatī to hai ruk na jā.iyo us paas
palaT bhī aa.iyo jo vo nazar na pahchāne
khule jo aah mein bab-e-asar na pahchane
KHushi ka rang gham-e-mo'tabar na pahchane
uDe jo chil to dekhe lahu ki jhil mein aks
shafaq Dhale to sharik-e-safar na pahchane
ugen jo phul to dharti bhali bhali si lage
zamin ka dard-e-tasawwur magar na pahchane
hawas ki zist kare rail ke safar ki tarah
safar ke baad sharik-e-safar na pahchane
tamam-raat ka jalta hua diya na bujhe
shab-e-firaq nawed-e-sahar na pahchane
nigah jati to hai ruk na jaiyo us pas
palaT bhi aaiyo jo wo nazar na pahchane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.