khule mein chhoD rakha hai magar saliqe se
khule meñ chhoḌ rakhā hai magar salīqe se
bañdhe hue haiñ parindoñ ke par salīqe se
hamīñ pe farz nahīñ sirf haq paḌosī kā
tumheñ bhī chāhiye rahnā udhar salīqe se
kabhī se hālat-e-bīmār-e-dil sambhal jaatī
ilaaj karte agar chāra-gar salīqe se
hamāre chāhne vaale bahut hī nāzuk haiñ
hamārī maut kī denā ḳhabar salīqe se
bahut sī mushkileñ haa.el haiñ raah meñ lekin
tamām umr kiyā hai safar salīqe se
khule mein chhoD rakha hai magar saliqe se
bandhe hue hain parindon ke par saliqe se
hamin pe farz nahin sirf haq paDosi ka
tumhein bhi chahiye rahna udhar saliqe se
kabhi se haalat-e-bimar-e-dil sambhal jati
ilaj karte agar chaara-gar saliqe se
hamare chahne wale bahut hi nazuk hain
hamari maut ki dena KHabar saliqe se
bahut si mushkilen hael hain rah mein lekin
tamam umr kiya hai safar saliqe se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.