khuli aankhon se har sapna suhana dekhte jao
khuli aankhon se har sapna suhana dekhte jao
Bhagwan Khilnani Saqi
MORE BYBhagwan Khilnani Saqi
khulī āñkhoñ se har sapnā suhānā dekhte jaao
abhī to aur badlegā zamāna dekhte jaao
raheñge jā ke jab ākāsh par sab log dhartī ke
palaT aa.egā mujh jaisā divāna dekhte jaao
lagā.ī jis tarah se aag us ne saarī duniyā meñ
jalā.egā ḳhud apnā āshiyāna dekhte jaao
nibhāyā tum ne har naata vafā kā bevafā.ī se
hamārā rasm-e-ulfat bhī nibhānā dekhte jaao
nahīñ aayā hameñ nazreñ milānā aaj tak jis se
sikhā degā vo ḳhud nazreñ milānā dekhte jaao
khuli aankhon se har sapna suhana dekhte jao
abhi to aur badlega zamana dekhte jao
rahenge ja ke jab aakash par sab log dharti ke
palaT aaega mujh jaisa diwana dekhte jao
lagai jis tarah se aag us ne sari duniya mein
jalaega KHud apna aashiyana dekhte jao
nibhaya tum ne har nata wafa ka bewafai se
hamara rasm-e-ulfat bhi nibhana dekhte jao
nahin aaya hamein nazren milana aaj tak jis se
sikha dega wo KHud nazren milana dekhte jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.