khuli hai aankh haqiqat ki intiqal ke baad
khulī hai aañkh haqīqat kī intiqāl ke baad
maiñ zindagī tujhe samjhā huuñ dekh-bhāl ke baad
tū merī ruuh mirā ishq hai niDar ho jā
shajar nahīñ huuñ ki badlūñ libās saal ke baad
mire adū ke irāde tamām ḳhaak hue
jab aur ijz meñ aaya maiñ ishti.āl ke baad
tirī judā.ī ke sadme ne kar diyā pāgal
rahā malāl na koī tire malāl ke baad
tum is tarah se agar hausla baḌhāte rahe
baḌe kamāl karūñgā maiñ is kamāl ke baad
phir us kī āñkheñ nadāmat ke ashk le Duube
dil-e-tabāh se uThte hue savāl ke baad
tire junūñ ne tujhe surḳh-rū kiyā 'nāzish'
tujhe uruuj milā zabt-e-be-misāl ke baad
khuli hai aankh haqiqat ki intiqal ke baad
main zindagi tujhe samjha hun dekh-bhaal ke baad
tu meri ruh mera ishq hai niDar ho ja
shajar nahin hun ki badlun libas sal ke baad
mere adu ke irade tamam KHak hue
jab aur ijz mein aaya main ishtial ke baad
teri judai ke sadme ne kar diya pagal
raha malal na koi tere malal ke baad
tum is tarah se agar hausla baDhate rahe
baDe kamal karunga main is kamal ke baad
phir us ki aankhen nadamat ke ashk le Dube
dil-e-tabah se uThte hue sawal ke baad
tere junun ne tujhe surKH-ru kiya 'nazish'
tujhe uruj mila zabt-e-be-misal ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.