khuli hai aankh josh-e-intizar-e-yar-e-jaani hai
khulī hai aañkh josh-e-intizār-e-yār-e-jānī hai
ba-mushkil dīda-e-zanjīr ḳhvāb-e-pāsbānī hai
laboñ par aa chukā dam koī dam kī zindagānī hai
chal uTh o bevafā pahlū se ab kyuuñ mehrbānī hai
lagā duuñ aag uf karne meñ vo sho.ala-zabānī hai
ba-shakl-e-sham.a saare jism meñ soz-e-nihānī hai
kalām-e-hazrat-e-vā.iz nasīb-e-dushmanāñ bāshad
unḌelo mai piyo sāġhar kahāñ phir naujavānī hai
umañgeñ haiñ tabī'at meñ bharī haiñ mastiyāñ dil meñ
huī jaatī haiñ āñkheñ band kaif-e-naujavānī hai
azāb-e-ġhaflat-e-qātil se ranj-e-kash-makash meñ huuñ
madad ai marg-e-be-taqsīr zauq-e-jāñ-fishānī hai
ḳhabar kyā pūchhtā hai ham-nafas kyuuñ kar guzartī hai
jigar jaltā hai dil bhuntā hai ashkoñ kī ravānī hai
adā-o-nāz-e-īmā chashm-e-ġhamza go vo koī ho
ta'alluq jis se ho jaa.e balā-e-nāgahānī hai
pasand aa.ī hai is darja aziyyat dostī ham ko
nazar meñ dhuup bhī dasht-e-musībat ke suhānī hai
ḳhayāl-e-mīrzā.ī ai 'nasīm'-dehlavī kab tak
jhuko buDDhe hue ab ruḳhsat-e-lutf-e-javānī hai
khuli hai aankh josh-e-intizar-e-yar-e-jaani hai
ba-mushkil dida-e-zanjir KHwab-e-pasbani hai
labon par aa chuka dam koi dam ki zindagani hai
chal uTh o bewafa pahlu se ab kyun mehrbani hai
laga dun aag uf karne mein wo shoala-zabani hai
ba-shakl-e-shama sare jism mein soz-e-nihani hai
kalam-e-hazrat-e-waiz nasib-e-dushmanan bashad
unDelo mai piyo saghar kahan phir naujawani hai
umangen hain tabi'at mein bhari hain mastiyan dil mein
hui jati hain aankhen band kaif-e-naujawani hai
azab-e-ghaflat-e-qatil se ranj-e-kash-makash mein hun
madad ai marg-e-be-taqsir zauq-e-jaan-fishani hai
KHabar kya puchhta hai ham-nafas kyun kar guzarti hai
jigar jalta hai dil bhunta hai ashkon ki rawani hai
ada-o-naz-e-ima chashm-e-ghamza go wo koi ho
ta'alluq jis se ho jae bala-e-nagahani hai
pasand aai hai is darja aziyyat dosti hum ko
nazar mein dhup bhi dasht-e-musibat ke suhani hai
KHayal-e-mirzai ai 'nasim'-dehlawi kab tak
jhuko buDDhe hue ab ruKHsat-e-lutf-e-jawani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.