khuli hai kunj-e-qafas mein meri zaban sayyaad
khulī hai kunj-e-qafas meñ mirī zabāñ sayyād
maiñ mājrā-e-chaman kyā karūñ bayāñ sayyād
dikhā.egā na agar sair-e-bostāñ sayyād
phaḌak phaḌak ke qafas hī meñ dūñgā jaañ sayyād
jahāñ gayā maiñ gayā le ke daam vaañ sayyād
phirā talāsh meñ merī kahāñ kahāñ sayyād
dikhāyā kunj-e-qafas mujh ko āb-o-dāna ne
vagarna daam kahāñ maiñ kahāñ kahāñ sayyād
ujāḌā mausam-e-gul hī meñ āshiyāñ merā
ilāhī TuuT paḌe tujh pe āsmāñ sayyād
maiñ khīñchūñ daam meñ bulbul tū āshiyāna jalā
baham ye mashvara karte haiñ bāġhbāñ sayyād
ajiib qissa hai dilchasp ik hikāyat hai
sunā.ūñgā gul-o-bulbul kī dāstāñ sayyād
na gul khileñge na chahkāregā koī bulbul
bahār-e-bāġh ko hone to de ḳhizāñ sayyād
humā-e-zinda ghasītegā daam meñ shāyad
bajā-e-dāna bichhātā hai ustuḳhvāñ sayyād
ḳhabar nahīñ kise kahte haiñ gul chaman kaisā
qafas ko jānte haiñ ham to āshiyāñ sayyād
udaas dekh ke mujh ko chaman dikhātā hai
ka.ī baras meñ huā hai mizāj-dāñ sayyād
rahe na qabil-e-parvāz bāl-o-par mere
qafas se uḌ ke maiñ ab jā.uñgā kahāñ sayyād
qafas ko shaam se laTkā ke farsh-e-ḳhvāb ke paas
sunā kiyā mirī tā-sub.h dāstāñ sayyād
karegā yaad mire zamzamoñ ko ba.ad mire
huuñ chand roz tere ghar meñ mehmāñ sayyād
sunā.ūñ vāqi.a apnā tujhe tamām-o-kamāl
jo gosh-e-dil se sune merī dāstāñ sayyād
sitam ziyāda na kar hukm de rihā.ī kā
pukārte haiñ giraftār al-amāñ sayyād
chaman meñ rakkhā na bulbul kā naam tak baaqī
ḳhudā kare yūñhī ho jaa.e be-nishāñ sayyād
hazār murġh-e-ḳhush-ilhāñ chahakte haiñ harsū
beh-az-chaman huā ab to tirā makān sayyād
maiñ jhāñktā nahīñ chāk-e-qafas se bhī gul ko
na-hove tā mirī jānib se bad-gumāñ sayyād
asīr-e-kunj-e-qafas kar ba-shauq daam meñ khīñch
qazā le aa.ī hai mujh ko kashāñ kashāñ sayyād
paroñ ko khol de zālim jo band kartā hai
qafas ko le ke maiñ uḌ jā.ūñgā kahāñ sayyād
na hūñgā band qafas meñ bhī maiñ vo bulbul huuñ
hazār tujh ko sunā.ūñgā dāstāñ sayyād
dar-e-qafas bhī khulegā to ab na jā.ūñgā
yaqīn na hove to kar merā imtihāñ sayyād
rihā bhī ho ke na bhūlūñgā haqq-e-ḳhidmat ko
adā-e-shukr karūñgā maiñ har zabāñ sayyād
chaman meñ bulbul-o-qumrī kā par na chhoḌegā
rahā jab āTh-pahar ghaat meñ nihāñ sayyād
qafas pe rakhne lagā ab to haar phūloñ ke
hazār shukr huā mujh pe mehrbāñ sayyād
aziiz rakhtā hai kartā hai ḳhātireñ merī
milā hai ḳhūbī-e-qismat se qadr-dāñ sayyād
nikāliyo na qadam āshiyāñ se o bulbul
lagā.e baiThe haiñ phande jahāñ-tahāñ sayyād
vo andalīb huuñ jal kar karūñ jo nāla-e-garm
qafas ke chākoñ se uThne lage dhuāñ sayyād
mire bayān ko sun sun ke kaañp kaañp uThā
ġhazab ye hai ki samajhtā nahīñ zabāñ sayyād
ilāhī dekhiye kyūñkar nibāh hotā hai
zabāñ-darāz huuñ maiñ aur bad-zabāñ sayyād
sivā-e-shukr shikāyat agar kabhī kī ho
ilāhī qat.a ho minqār se zabāñ sayyād
fareb-e-dāna na khātā maiñ zīnhār ai 'rind'
na kartā daam agar ḳhaak meñ nihāñ sayyād
khuli hai kunj-e-qafas mein meri zaban sayyaad
main majra-e-chaman kya karun bayan sayyaad
dikhaega na agar sair-e-bostan sayyaad
phaDak phaDak ke qafas hi mein dunga jaan sayyaad
jahan gaya main gaya le ke dam wan sayyaad
phira talash mein meri kahan kahan sayyaad
dikhaya kunj-e-qafas mujh ko aab-o-dana ne
wagarna dam kahan main kahan kahan sayyaad
ujaDa mausam-e-gul hi mein aashiyan mera
ilahi TuT paDe tujh pe aasman sayyaad
main khinchun dam mein bulbul tu aashiyana jala
baham ye mashwara karte hain baghban sayyaad
ajib qissa hai dilchasp ek hikayat hai
sunaunga gul-o-bulbul ki dastan sayyaad
na gul khilenge na chahkarega koi bulbul
bahaar-e-bagh ko hone to de KHizan sayyaad
huma-e-zinda ghasitega dam mein shayad
baja-e-dana bichhata hai ustuKHwan sayyaad
KHabar nahin kise kahte hain gul chaman kaisa
qafas ko jaante hain hum to aashiyan sayyaad
udas dekh ke mujh ko chaman dikhata hai
kai baras mein hua hai mizaj-dan sayyaad
rahe na qabil-e-parwaz baal-o-par mere
qafas se uD ke main ab jaunga kahan sayyaad
qafas ko sham se laTka ke farsh-e-KHwab ke pas
suna kiya meri ta-subh dastan sayyaad
karega yaad mere zamzamon ko baad mere
hun chand roz tere ghar mein mehman sayyaad
sunaun waqia apna tujhe tamam-o-kamal
jo gosh-e-dil se sune meri dastan sayyaad
sitam ziyaada na kar hukm de rihai ka
pukarte hain giraftar al-aman sayyaad
chaman mein rakkha na bulbul ka nam tak baqi
KHuda kare yunhi ho jae be-nishan sayyaad
hazar murgh-e-KHush-ilhan chahakte hain harsu
beh-az-chaman hua ab to tera makan sayyaad
main jhankta nahin chaak-e-qafas se bhi gul ko
na-howe ta meri jaanib se bad-guman sayyaad
asir-e-kunj-e-qafas kar ba-shauq dam mein khinch
qaza le aai hai mujh ko kashan kashan sayyaad
paron ko khol de zalim jo band karta hai
qafas ko le ke main uD jaunga kahan sayyaad
na hunga band qafas mein bhi main wo bulbul hun
hazar tujh ko sunaunga dastan sayyaad
dar-e-qafas bhi khulega to ab na jaunga
yaqin na howe to kar mera imtihan sayyaad
riha bhi ho ke na bhulunga haqq-e-KHidmat ko
ada-e-shukr karunga main har zaban sayyaad
chaman mein bulbul-o-qumri ka par na chhoDega
raha jab aaTh-pahar ghat mein nihan sayyaad
qafas pe rakhne laga ab to haar phulon ke
hazar shukr hua mujh pe mehrban sayyaad
aziz rakhta hai karta hai KHatiren meri
mila hai KHubi-e-qismat se qadr-dan sayyaad
nikaliyo na qadam aashiyan se o bulbul
lagae baiThe hain phande jahan-tahan sayyaad
wo andalib hun jal kar karun jo nala-e-garm
qafas ke chaakon se uThne lage dhuan sayyaad
mere bayan ko sun sun ke kanp kanp uTha
ghazab ye hai ki samajhta nahin zaban sayyaad
ilahi dekhiye kyunkar nibah hota hai
zaban-daraaz hun main aur bad-zaban sayyaad
siwa-e-shukr shikayat agar kabhi ki ho
ilahi qata ho minqar se zaban sayyaad
fareb-e-dana na khata main zinhaar ai 'rind'
na karta dam agar KHak mein nihan sayyaad
- diivaan-e-rind guldasta.e ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.