KHulus apna liye milte hain fankari nahin karte
ḳhulūs apnā liye milte haiñ fankārī nahīñ karte
ham apne dostoñ ke saath makkārī nahīñ karte
luTā dete haiñ jān-o-dil mohabbat karne vāloñ par
kabhī ham jazb-e-ulfat kī ḳharīdārī nahīñ karte
jinheñ aadat hai girgiT kī tarah rangat badalne kī
vo apne dostoñ se bhī vafādārī nahīñ karte
hamārā sar kabhī jhuktā nahīñ hai ġhair ke aage
kabhī ham iḳhtiyār andāz-e-darbārī nahīñ karte
hamesha jhuuT se laḌtā rahā huuñ maiñ tan-e-tanhā
jo sachche log haiñ merī taraf-dārī nahīñ karte
lahū de kar jise shādāb karnā apnā maslak hai
ham apne desh kī miTTī se ġhaddārī nahīñ karte
matānat se 'sa.īd' apnī ġhazal ko pesh karte haiñ
adākārī nahīñ aatī adākārī nahīñ karte
KHulus apna liye milte hain fankari nahin karte
hum apne doston ke sath makkari nahin karte
luTa dete hain jaan-o-dil mohabbat karne walon par
kabhi hum jazb-e-ulfat ki KHaridari nahin karte
jinhen aadat hai girgiT ki tarah rangat badalne ki
wo apne doston se bhi wafadari nahin karte
hamara sar kabhi jhukta nahin hai ghair ke aage
kabhi hum iKHtiyar andaz-e-darbari nahin karte
hamesha jhuT se laDta raha hun main tan-e-tanha
jo sachche log hain meri taraf-dari nahin karte
lahu de kar jise shadab karna apna maslak hai
hum apne desh ki miTTi se ghaddari nahin karte
matanat se 'said' apni ghazal ko pesh karte hain
adakari nahin aati adakari nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.