KHunuk hawa mein baDi shoala-KHez KHushbu hai
ḳhunuk havā meñ baḌī sho.ala-ḳhez ḳhushbū hai
ḳhayāl-e-yār chañbelī kī tez ḳhushbū hai
havā ke haath na lag jaa.e mausamoñ se kaho
ki ek phuul kā saarā jahez ḳhushbū hai
churā ga.e haiñ tirī uñgliyoñ kā loch hurūf
ajiib ḳhat hai ajab itr-bez ḳhushbū hai
purānī yādoñ se sanduqcha bharā huā hai
so ḳhuub 'ilm hai kyoñ zer-e-mez ḳhushbū hai
chaTaḳh rahā hai vajūd aur bikhar rahā hai ḳhayāl
sharāb biich koī shīsha-rez ḳhushbū hai
KHunuk hawa mein baDi shoala-KHez KHushbu hai
KHayal-e-yar chanbeli ki tez KHushbu hai
hawa ke hath na lag jae mausamon se kaho
ki ek phul ka sara jahez KHushbu hai
chura gae hain teri ungliyon ka loch huruf
ajib KHat hai ajab itr-bez KHushbu hai
purani yaadon se sanduqcha bhara hua hai
so KHub 'ilm hai kyon zer-e-mez KHushbu hai
chaTaKH raha hai wajud aur bikhar raha hai KHayal
sharab bich koi shisha-rez KHushbu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.