KHush bahut hai ki KHush-guman bhi to hai
ḳhush bahut hai ki ḳhush-gumāñ bhī to hai
rabt donoñ ke darmiyāñ bhī to hai
sar se pā tak vo ātish-e-ḳhāmosh
dīda-e-nam dhuāñ dhuāñ bhī to hai
ḳhema jalne kā rāz-e-sar-basta
koī dar-parda mehrbāñ bhī to hai
shāḳh-sāroñ pe e'timād bhī kam
chaar tinkoñ kā āshiyāñ bhī to hai
tez chalne pe iḳhtiyār sahī
ham-safar koī nā-tavāñ bhī to hai
hai qabīle meñ intishār bahut
sar-phiroñ kā ye kārvāñ bhī to hai
yaañ ki farshī salām hai mamnūa
ye faqīroñ kā āstāñ bhī to hai
kab kashish thī bayāñ meñ yuuñ 'afzal'
ye shab-e-ġham kī dāstāñ bhī to hai
KHush bahut hai ki KHush-guman bhi to hai
rabt donon ke darmiyan bhi to hai
sar se pa tak wo aatish-e-KHamosh
dida-e-nam dhuan dhuan bhi to hai
KHema jalne ka raaz-e-sar-basta
koi dar-parda mehrban bhi to hai
shaKH-saron pe e'timad bhi kam
chaar tinkon ka aashiyan bhi to hai
tez chalne pe iKHtiyar sahi
ham-safar koi na-tawan bhi to hai
hai qabile mein intishaar bahut
sar-phiron ka ye karwan bhi to hai
yan ki farshi salam hai mamnua
ye faqiron ka aastan bhi to hai
kab kashish thi bayan mein yun 'afzal'
ye shab-e-gham ki dastan bhi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.