saz-e-furqat pe ghazal gao ki kuchh raat kaTe
sāz-e-furqat pe ġhazal gaao ki kuchh raat kaTe
pyaar kī rasm ko chamkāo ki kuchh raat kaTe
jab ye tai hai ki ġham-e-ishq bahut kaafī hai
ġham kā mafhūm hī samjhāo ki kuchh raat kaTe
sub.h ke saath hī ham ḳhud bhī bikhar jā.eñge
do-ghaḌī aur Thahar jaao ki kuchh raat kaTe
dāman-e-dard pe bikhre hue aañsū kī tarah
merī palkoñ pe bhī lahrāo ki kuchh raat kaTe
zikr-e-gulzār sahī qissa-e-dil-dār sahī
zaḳhm ke phuul hī mahkāo ki kuchh raat kaTe
ek ek dard ke siine meñ utar kar dekho
ek ek saañs meñ lahrāo ki kuchh raat kaTe
dil kī vaadī meñ hai tārīk ghaTāoñ kā hujūm
chāñdnī ban ke nikhar jaao ki kuchh raat kaTe
qātil-e-shahr se bach kar maiñ abhī aayā huuñ
maiñ akelā huuñ chale aao ki kuchh raat kaTe
farsh kirnoñ kā bichhā degī sahar aa ke 'ra.īs'
dil ke zaḳhmoñ ko bhī chamkāo ki kuchh raat kaTe
saz-e-furqat pe ghazal gao ki kuchh raat kaTe
pyar ki rasm ko chamkao ki kuchh raat kaTe
jab ye tai hai ki gham-e-ishq bahut kafi hai
gham ka mafhum hi samjhao ki kuchh raat kaTe
subh ke sath hi hum KHud bhi bikhar jaenge
do-ghaDi aur Thahar jao ki kuchh raat kaTe
daman-e-dard pe bikhre hue aansu ki tarah
meri palkon pe bhi lahrao ki kuchh raat kaTe
zikr-e-gulzar sahi qissa-e-dil-dar sahi
zaKHm ke phul hi mahkao ki kuchh raat kaTe
ek ek dard ke sine mein utar kar dekho
ek ek sans mein lahrao ki kuchh raat kaTe
dil ki wadi mein hai tarik ghaTaon ka hujum
chandni ban ke nikhar jao ki kuchh raat kaTe
qatil-e-shahr se bach kar main abhi aaya hun
main akela hun chale aao ki kuchh raat kaTe
farsh kirnon ka bichha degi sahar aa ke 'rais'
dil ke zaKHmon ko bhi chamkao ki kuchh raat kaTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.