KHush-fahmiyon ke khel ki ab kya sabil hai
Interesting Fact
Sher-o-Hikmat, Hyderabad
ḳhush-fahmiyoñ ke khel kī ab kyā sabīl hai
kāġhaz kī ek naav hai aur ḳhushk jhiil hai
sar par uThā.e dhuup ko sūraj kī tarah chal
manzil kahāñ ye silsila-e-sañg-mīl hai
lāshoñ ke Dher meñ abhī zinda to huuñ magar
mere bhī sar pe uḌtī huī ek chiil hai
saaya bhī band muTThī meñ rakhtā hai bhīñch kar
ūñchā sā ye daraḳht nihāyat baḳhīl hai
maiñ ghaav gahre pāniyoñ kā huuñ na mujh se mil
tū mujh meñ Duub jā.egī nannhī sī jhiil hai
darvāze khiḌkī mujh pe 'musavvir' haiñ sab hī band
sarmā kā ThiThurā chāñd hai aur shab tavīl hai
KHush-fahmiyon ke khel ki ab kya sabil hai
kaghaz ki ek naw hai aur KHushk jhil hai
sar par uThae dhup ko suraj ki tarah chal
manzil kahan ye silsila-e-sang-mil hai
lashon ke Dher mein abhi zinda to hun magar
mere bhi sar pe uDti hui ek chil hai
saya bhi band muTThi mein rakhta hai bhinch kar
uncha sa ye daraKHt nihayat baKHil hai
main ghaw gahre paniyon ka hun na mujh se mil
tu mujh mein Dub jaegi nannhi si jhil hai
darwaze khiDki mujh pe 'musawwir' hain sab hi band
sarma ka ThiThura chand hai aur shab tawil hai
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 85)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.