KHush hun kab dil ki dastan kah kar
ḳhush huuñ kab dil kī dāstāñ kah kar
kyā milegā yahāñ vahāñ kah kar
ma.anī kyā de diye haiñ lafzoñ ko
dāstāñ-go ne dāstāñ kah kar
vus.at-e-be-karāñ ko ham hī ne
sar chaḌhāyā hai āsmāñ kah kar
ham ne sach-much gumāñ banā Daalā
har yaqīñ ko gumāñ gumāñ kah kar
maiñ ne rutba diyā hai sheroñ ko
dil-e-hassās kā dhuāñ kah kar
KHush hun kab dil ki dastan kah kar
kya milega yahan wahan kah kar
mani kya de diye hain lafzon ko
dastan-go ne dastan kah kar
wusat-e-be-karan ko hum hi ne
sar chaDhaya hai aasman kah kar
hum ne sach-much guman bana Dala
har yaqin ko guman guman kah kar
main ne rutba diya hai sheron ko
dil-e-hassas ka dhuan kah kar
- Book : Aiwan (Pg. 29)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.