Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHush-kaam karo KHatir-e-nakaam hamein do

Mani Nagpuri

KHush-kaam karo KHatir-e-nakaam hamein do

Mani Nagpuri

MORE BYMani Nagpuri

    ḳhush-kām karo ḳhātir-e-nākām hameñ do

    ḳhālī ho ki labrez koī jaam hameñ do

    māyūs nahīñ ham abhī islāh-e-bashar se

    har kū-e-ġhalat manzil-e-badnām hameñ do

    jaulāñ-gah-e-ḳhasān-e-mohabbat se guzāro

    kahte nahīñ ham shāhrah-e-ām hameñ do

    ārāsta gesū se atā ho fan-e-sādī

    nazroñ se adab-pāra-e-ḳhayyām hameñ do

    maslak hai mohabbat val-itmām minallāh

    kyoñ kashmakash-e-ḳhātir-e-nākām hameñ do

    gunjān huā gesuoñ vāloñ se mohalla

    ham-tarz-e-hasīnān-e-avadh shaam hameñ do

    'mānī' yahī suqrāt sajjāda-nashīñ hai

    denā hai use zahr bharā jaam hameñ do

    KHush-kaam karo KHatir-e-nakaam hamein do

    KHali ho ki labrez koi jam hamein do

    mayus nahin hum abhi islah-e-bashar se

    har ku-e-ghalat manzil-e-badnam hamein do

    jaulan-gah-e-KHasan-e-mohabbat se guzaro

    kahte nahin hum shahrah-e-am hamein do

    aarasta gesu se ata ho fan-e-sadi

    nazron se adab-para-e-KHayyam hamein do

    maslak hai mohabbat ka wal-itmam minallah

    kyon kashmakash-e-KHatir-e-nakaam hamein do

    gunjaan hua gesuon walon se mohalla

    ham-tarz-e-hasinan-e-awadh sham hamein do

    'mani' yahi suqraat ka sajjada-nashin hai

    dena hai use zahr bhara jam hamein do

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now