KHush-mizaji ka dikhawa bhi nahin kar sakte
ḳhush-mizājī kā dikhāvā bhī nahīñ kar sakte
ham vo kāhil haiñ jo itnā bhī nahīñ kar sakte
vo sunāte haiñ rihā.ī ke farīze sab ko
jo rihā ek parinda bhī nahīñ kar sakte
kitne majbūr haiñ ham aam sī shakloñ vaale
ḳhud ko ījād dobāra bhī nahīñ kar sakte
chāhte haiñ jise dushman kī navāsī niklī
ab to ham ishq adhūrā bhī nahīñ kar sakte
is liye bantā nahīñ tanz tamāshe pe mire
yaañ to kuchh log tamāsha bhī nahīñ kar sakte
jism sāñso kī sitamgār ravāna se miyāñ
aisā bikhrā hai ikaTThā bhī nahīñ kar sakte
KHush-mizaji ka dikhawa bhi nahin kar sakte
hum wo kahil hain jo itna bhi nahin kar sakte
wo sunate hain rihai ke farize sab ko
jo riha ek parinda bhi nahin kar sakte
kitne majbur hain hum aam si shaklon wale
KHud ko ijad dobara bhi nahin kar sakte
chahte hain jise dushman ki nawasi nikli
ab to hum ishq adhura bhi nahin kar sakte
is liye banta nahin tanz tamashe pe mere
yan to kuchh log tamasha bhi nahin kar sakte
jism sanso ki sitamgar rawana se miyan
aisa bikhra hai ikaTTha bhi nahin kar sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.