KHush-nazar kah ke Tal de mujhko
ḳhush-nazar kah ke Taal de mujh ko
yā phir apnī misāl de mujh ko
ḳhush-bayānī kā shukriya lekin
jur.at-e-arz-e-hāl de mujh ko
tū bhī ho jaa.e ham-ḳhayāl mirā
koī aisā ḳhayāl de mujh ko
ahd-e-hāzir to naqsh-e-māzī hai
ab na.e māh-o-sāl de mujh ko
nazar aatī nahīñ hai rāh-e-farār
dā.ere se nikāl de mujh ko
tū hai kyā ḳhud ko jāntā huuñ maiñ
koī ūñchā savāl de mujh ko
KHush-nazar kah ke Tal de mujh ko
ya phir apni misal de mujh ko
KHush-bayani ka shukriya lekin
jurat-e-arz-e-haal de mujh ko
tu bhi ho jae ham-KHayal mera
koi aisa KHayal de mujh ko
ahd-e-hazir to naqsh-e-mazi hai
ab nae mah-o-sal de mujh ko
nazar aati nahin hai rah-e-farar
daere se nikal de mujh ko
tu hai kya KHud ko jaanta hun main
koi uncha sawal de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.