KHush-qamati ke zoam mein danai jaegi
ḳhush-qāmatī ke zo.am meñ dānā.ī jā.egī
sūraj na dekh aañkh kī bīnā.ī jā.egī
yārab koī farishta jise dost kah sakūñ
insān kī talāsh meñ bīnā.ī jā.egī
do chaar jhuuT bol ke aa.ī balā ko Taal
sach bolne ke jurm meñ goyā.ī jā.egī
naslī raqābatoñ meñ ga.e apne bām-o-dar
ab aapsī nifāq meñ añgnā.ī jā.egī
zaḳhmoñ se hai 'jamīl' mazāq-e-suḳhan meñ jaañ
ye bhar ga.e to phir suḳhan-ārā.ī jā.egī
KHush-qamati ke zoam mein danai jaegi
suraj na dekh aankh ki binai jaegi
yarab koi farishta jise dost kah sakun
insan ki talash mein binai jaegi
do chaar jhuT bol ke aai bala ko Tal
sach bolne ke jurm mein goyai jaegi
nasli raqabaton mein gae apne baam-o-dar
ab aapsi nifaq mein angnai jaegi
zaKHmon se hai 'jamil' mazaq-e-suKHan mein jaan
ye bhar gae to phir suKHan-arai jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.