KHush-rang-o-tar-o-taza jawani ki taraf aa
ḳhush-rang-o-tar-o-tāza javānī kī taraf aa
pyāsā hai to bahte hue paanī kī taraf aa
kuchh pal ke liye apne fasāne kā varaq moḌ
fursat se kabhī merī kahānī kī taraf aa
tarsīl nahīñ hotī tirī fikr-e-rasā kī
ai zūd-bayāñ husn-e-ma.ānī kī taraf aa
parvāz kī ḳhvāhish hai to dīvār-e-qafas toḌ
jiinā hai to ab naql-e-makānī kī taraf aa
jauhar to khule tīr-o-sināñ kā tire 'aḳhtar'
laḌnā hai to ham dushman-e-jānī kī taraf aa
KHush-rang-o-tar-o-taza jawani ki taraf aa
pyasa hai to bahte hue pani ki taraf aa
kuchh pal ke liye apne fasane ka waraq moD
fursat se kabhi meri kahani ki taraf aa
tarsil nahin hoti teri fikr-e-rasa ki
ai zud-bayan husn-e-maani ki taraf aa
parwaz ki KHwahish hai to diwar-e-qafas toD
jina hai to ab naql-e-makani ki taraf aa
jauhar to khule tir-o-sinan ka tere 'aKHtar'
laDna hai to hum dushman-e-jaani ki taraf aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.