KHush-shanasi ka bharam TuTa na tha
ḳhush-shanāsī kā bharam TuuTā na thā
aa.ine meñ muñh kabhī dekhā na thā
mere ghar chāñdī na thī sonā na thā
maiñ kabhī ārām se soyā na thā
har koī thā shahr meñ ḳhanjar-ba-dast
aur qātil sā koī chehra na thā
guftugū ilzām ḳhāmoshī azaab
hādisa aisā kabhī dekhā na thā
dil meñ ik zauq-e-tajassus thā 'ḳhalish'
sāmne manzil na thī jaada na thā
KHush-shanasi ka bharam TuTa na tha
aaine mein munh kabhi dekha na tha
mere ghar chandi na thi sona na tha
main kabhi aaram se soya na tha
har koi tha shahr mein KHanjar-ba-dast
aur qatil sa koi chehra na tha
guftugu ilzam KHamoshi azab
hadisa aisa kabhi dekha na tha
dil mein ek zauq-e-tajassus tha 'KHalish'
samne manzil na thi jada na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.