KHush-shanasi ka sila karb ka sahra hun main
ḳhush-shanāsī kā sila karb kā sahrā huuñ maiñ
kaun pahchāne ki ik dasht-e-tamannā huuñ maiñ
sard paanī kī zabāñ chāTtī rahtī hai mujhe
kohar meñ Duubā huā koī jazīra huuñ maiñ
apnī vīrān sī āñkhoñ ko sajā lo mujh se
phir na haath ā.ūñgā uḌtā huuñ sapnā huuñ maiñ
bhuul jāoge mujhe tum bhī sahar hone tak
āḳhir-e-shab kā koī TūTtā lamha huuñ maiñ
TūTā-phūTā hī sahī phir bhī kashish rakhtā huuñ
mujh se mahzūz to ho lo ki khilaunā huuñ maiñ
ek dushnām hai ye tarz-e-ta.āruf mujh ko
yaaro is shahr kā derīna shanāsā huuñ maiñ
KHush-shanasi ka sila karb ka sahra hun main
kaun pahchane ki ek dasht-e-tamanna hun main
sard pani ki zaban chaTti rahti hai mujhe
kohar mein Duba hua koi jazira hun main
apni viran si aankhon ko saja lo mujh se
phir na hath aaunga uDta hun sapna hun main
bhul jaoge mujhe tum bhi sahar hone tak
aaKHir-e-shab ka koi TuTta lamha hun main
TuTa-phuTa hi sahi phir bhi kashish rakhta hun
mujh se mahzuz to ho lo ki khilauna hun main
ek dushnam hai ye tarz-e-taaruf mujh ko
yaro is shahr ka derina shanasa hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.