KHushbu ka bhi wahi hai jo hai chalan hawa ka
ḳhushbū kā bhī vahī hai jo hai chalan havā kā
us kā badan havā kā hai pairahan havā kā
kal raat yād-e-jānāñ yā chāñdnī ke baa.is
behad chamak rahā thā sīmāb-tan havā kā
sadiyoñ gayā vo us ke pīchhe had-e-jahāñ tak
lekin na DhūñD paayā mulk-o-vatan havā kā
apne badan se haT kar mahsūs kar sako to
tum ko dikhā.ī degā uryāñ badan havā kā
mere qarīb aa.ī ḳhushbū havā pahan kar
palTī to ban ga.ī thī ḳhud pairahan havā kā
tūfāñ ke ba.ad dekhā gulshan ke har shajar ne
be-dam paḌī thī ḳhushbū oḌhe kafan havā kā
KHushbu ka bhi wahi hai jo hai chalan hawa ka
us ka badan hawa ka hai pairahan hawa ka
kal raat yaad-e-jaanan ya chandni ke bais
behad chamak raha tha simab-tan hawa ka
sadiyon gaya wo us ke pichhe had-e-jahan tak
lekin na DhunD paya mulk-o-watan hawa ka
apne badan se haT kar mahsus kar sako to
tum ko dikhai dega uryan badan hawa ka
mere qarib aai KHushbu hawa pahan kar
palTi to ban gai thi KHud pairahan hawa ka
tufan ke baad dekha gulshan ke har shajar ne
be-dam paDi thi KHushbu oDhe kafan hawa ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.