Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushbu ki tarah sath laga le gai hum ko

Irfan Siddiqi

KHushbu ki tarah sath laga le gai hum ko

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    ḳhushbū tarah saath lagā le ga.ī ham ko

    kūche se tire bād-e-sabā le ga.ī ham ko

    patthar the ki gauhar the ab is baat kyā zikr

    ik mauj bahar-hāl bahā le ga.ī ham ko

    phir chhoḌ diyā reg-e-sar-e-rāh samajh kar

    kuchh duur to mausam havā le ga.ī ham ko

    tum kaise gire āñdhī meñ chhitnār darḳhto

    ham log to patte the uḌā le ga.ī ham ko

    ham kaun shanāvar the ki yuuñ paar utarte

    sūkhe hue hoñToñ duā le ga.ī ham ko

    is shahr meñ ġhārat-gar-e-īmāñ to bahut the

    kuchh ghar sharāfat bachā le ga.ī ham ko

    KHushbu ki tarah sath laga le gai hum ko

    kuche se tere baad-e-saba le gai hum ko

    patthar the ki gauhar the ab is baat ka kya zikr

    ek mauj bahar-haal baha le gai hum ko

    phir chhoD diya reg-e-sar-e-rah samajh kar

    kuchh dur to mausam ki hawa le gai hum ko

    tum kaise gire aandhi mein chhitnar darKHto

    hum log to patte the uDa le gai hum ko

    hum kaun shanawar the ki yun par utarte

    sukhe hue honTon ki dua le gai hum ko

    is shahr mein ghaarat-gar-e-iman to bahut the

    kuchh ghar ki sharafat hi bacha le gai hum ko

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHushbu ki tarah sath laga le gai hum ko Nomaan Shauque

    Source :
    • Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 27)
    • Author :Irfan Siddiqi
    • Publication : Rekhta Publications (2023)
    • Edition : 2nd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now