KHushbu phul saba aur shabnam dil ki dhaDkan taj-mahal
ḳhushbū phuul sabā aur shabnam dil kī dhaḌkan tāj-mahal
achchhe achchhe pyāre pyāre lafz ye saare aap ke naam
aap kī dilkash qurbat pā kar jaag uThī un kī taqdīr
rang-birange phūloñ ke ye jhilmil gajre aap ke naam
gulshan-e-jāñ kī pattī pattī mauj-e-nasīm-e-itr-fashāñ
rang-e-bahārāñ phuul shagūfe sab gul-daste aap ke naam
bām-o-dar mehrābeñ kamre āñgan aur dālān hī kyā
qasr-e-adab ke sab darvāze saare darīche aap ke naam
nazm-o-ġhazal kā jaadū jin meñ sab ke sar chaḌh ke bole
shahr-e-suḳhan meñ hone vaale vo hangāme aap ke naam
aap ke naam kiye 'sīmā' ne saare ḳhazāne ḳhushiyoñ ke
mahkī rut ke dinoñ ke jalve raat ke gahne aap ke naam
KHushbu phul saba aur shabnam dil ki dhaDkan taj-mahal
achchhe achchhe pyare pyare lafz ye sare aap ke nam
aap ki dilkash qurbat pa kar jag uThi un ki taqdir
rang-birange phulon ke ye jhilmil gajre aap ke nam
gulshan-e-jaan ki patti patti mauj-e-nasim-e-itr-fashan
rang-e-bahaaran phul shagufe sab gul-daste aap ke nam
baam-o-dar mehraben kamre aangan aur dalan hi kya
qasr-e-adab ke sab darwaze sare dariche aap ke nam
nazm-o-ghazal ka jadu jin mein sab ke sar chaDh ke bole
shahr-e-suKHan mein hone wale wo hangame aap ke nam
aap ke nam kiye 'sima' ne sare KHazane KHushiyon ke
mahki rut ke dinon ke jalwe raat ke gahne aap ke nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.