KHushi ka sath mila bhi to dil pe bar raha
ḳhushī kā saath milā bhī to dil pe baar rahā
maiñ aap apnī tabāhī kā zimmedār rahā
adhūre ḳhvāb ga.e din ajaan andeshe
mirī hayāt pe kis kis kā iḳhtiyār rahā
jo sab pe bojh thā ik shaam jab nahīñ lauTā
usī parinde kā shāḳhoñ ko intizār rahā
vo koī aur hī jazba thā sirf pyaar na thā
tujhe jo apnā jatāne ko be-qarār rahā
na jaane kis kā ta.alluq thā mere saath 'vasīm'
koī bhī duur huā mujh ko sāzgār rahā
KHushi ka sath mila bhi to dil pe bar raha
main aap apni tabahi ka zimmedar raha
adhure KHwab gae din ajaan andeshe
meri hayat pe kis kis ka iKHtiyar raha
jo sab pe bojh tha ek sham jab nahin lauTa
usi parinde ka shaKHon ko intizar raha
wo koi aur hi jazba tha sirf pyar na tha
tujhe jo apna jatane ko be-qarar raha
na jaane kis ka talluq tha mere sath 'wasim'
koi bhi dur hua mujh ko sazgar raha
- Book : Mera Kiya (Pg. 88)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.