KHushi ki aarzu kya dil mein Thahre
ḳhushī kī aarzū kyā dil meñ Thahre
tire ġham ne biThā rakkhe haiñ pahre
kahāñ chhoḌ aa.ī merī tīra-baḳhtī
vo rāteñ nuur kī vo din sunahre
mirī jānib na dekho muskurā kar
hue jaate haiñ dil ke zaḳhm gahre
nazar par tīrgī chhā.ī huī hai
magar āñkhoñ meñ haiñ sapne sunahre
jidhar bhī dekhtā huuñ 'kaif' udhar hī
ghire haiñ ġham ke bādal gahre gahre
KHushi ki aarzu kya dil mein Thahre
tere gham ne biTha rakkhe hain pahre
kahan chhoD aai meri tira-baKHti
wo raaten nur ki wo din sunahre
meri jaanib na dekho muskura kar
hue jate hain dil ke zaKHm gahre
nazar par tirgi chhai hui hai
magar aankhon mein hain sapne sunahre
jidhar bhi dekhta hun 'kaif' udhar hi
ghire hain gham ke baadal gahre gahre
- Book : sheerazah (Pg. 105)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.