KHushi ki had ghamon ki intiha malum hoti hai
ḳhushī kī had ġhamoñ kī intihā ma.alūm hotī hai
ḳhudā jaane mohabbat kyā hai kyā ma.alūm hotī hai
jahāñ kā zarra zarra yuuñ to zer-e-hukm-e-fitrat hai
magar ye husn kī duniyā judā ma.alūm hotī hai
tavaqqo un ke aane kī na ummīd-e-ajal phir kyoñ
har ik hasrat tabassum-āshnā ma.alūm hotī hai
baḌī halchal machī hai aaj dil vāloñ kī duniyā meñ
tirī nazroñ meñ shān-e-iltijā ma.alūm hotī hai
sanā-e-husn tausīf-e-adā tārīf-e-dil-jūī
ye sab tamhīd-e-arz-e-mudda.ā ma.alūm hotī hai
ye takmīl-e-mohabbat hai ki taufīq-e-ḳhudāvandī
mujhe har intihā ab ibtidā ma.alūm hotī hai
agar maa.il ye pastī hai mohabbat ahd-e-āsī hai
jo us kī rif.ateñ dekho ḳhudā ma.alūm hotī hai
bas ai chashm-e-talattuf bas ki dard-e-āshnā ho kar
mire jazbāt se nā-āshnā ma.alūm hotī hai
mohabbat ek hai lekin asar ziddain rakhtī hai
kahīñ rahzan kisī jā rahnumā ma.alūm hotī
jigar TukḌe huā jaatā hai har āvāz par is kī
'munīr'-e-be-navā kī ye sadā ma.alūm hotī he
KHushi ki had ghamon ki intiha malum hoti hai
KHuda jaane mohabbat kya hai kya malum hoti hai
jahan ka zarra zarra yun to zer-e-hukm-e-fitrat hai
magar ye husn ki duniya juda malum hoti hai
tawaqqo un ke aane ki na ummid-e-ajal phir kyon
har ek hasrat tabassum-ashna malum hoti hai
baDi halchal machi hai aaj dil walon ki duniya mein
teri nazron mein shan-e-iltija malum hoti hai
sana-e-husn tausif-e-ada tarif-e-dil-jui
ye sab tamhid-e-arz-e-muddaa malum hoti hai
ye takmil-e-mohabbat hai ki taufiq-e-KHudawandi
mujhe har intiha ab ibtida malum hoti hai
agar mail ye pasti hai mohabbat ahd-e-asi hai
jo us ki rifaten dekho KHuda malum hoti hai
bas ai chashm-e-talattuf bas ki dard-e-ashna ho kar
mere jazbaat se na-ashna malum hoti hai
mohabbat ek hai lekin asar ziddain rakhti hai
kahin rahzan kisi ja rahnuma malum hoti
jigar TukDe hua jata hai har aawaz par is ki
'munir'-e-be-nawa ki ye sada malum hoti he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.