KHushi mein gham ki haalat kar ke dekhun
KHushi mein gham ki haalat kar ke dekhun
Noorul Ain Qaisar Qasmi
MORE BYNoorul Ain Qaisar Qasmi
ḳhushī meñ ġham kī hālat kar ke dekhūñ
use apnī zarūrat kar ke dekhūñ
zamāna kah rahā hai jaane kyā kyā
kabhī maiñ bhī mohabbat kar ke dekhūñ
nazar meñ ab yahī ik rāstā hai
ki ḳhvāboñ ko haqīqat kar ke dekhūñ
chale haiñ āsmāñ chhūne ka.ī log
zarā maiñ bhī to himmat kar ke dekhūñ
ḳhud apne aap se ik roz 'qaisar'
maiñ apnī hī shikāyat kar ke dekhūñ
KHushi mein gham ki haalat kar ke dekhun
use apni zarurat kar ke dekhun
zamana kah raha hai jaane kya kya
kabhi main bhi mohabbat kar ke dekhun
nazar mein ab yahi ek rasta hai
ki KHwabon ko haqiqat kar ke dekhun
chale hain aasman chhune kai log
zara main bhi to himmat kar ke dekhun
KHud apne aap se ek roz 'qaisar'
main apni hi shikayat kar ke dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.