KHushi taqsim karti hun dil-azari nahin aati
ḳhushī taqsīm kartī huuñ dil-āzārī nahīñ aatī
mirā maqsad hai ġham-ḳhvārī adākārī nahīñ aatī
yahāñ vo aage aatā hai ki jo fankār hotā hai
mujhe darveshī ke chole meñ ayyārī nahīñ aatī
abhī sab kuchh mayassar hai kamī koī nahīñ baaqī
na-jāne phir bhī pahle jaisī sarshārī nahīñ aatī
mire kuchh faisle mere nahīñ so darguzar karnā
abhī sasurāl meñ rahtī huuñ inkārī nahīñ aatī
maiñ jab mātam ko jaatī huuñ kināre baiTh jaatī huuñ
yūñhī aañsū bahātī huuñ azā-dārī nahīñ aatī
chalo jo bhī huā ham maan ke rāheñ badalte haiñ
mujhe ab faisloñ meñ koī dushvārī nahīñ aatī
maiñ apne kamre se saarī kitābeñ le to aa.ī huuñ
vo jis meñ lams thā terā vo almārī nahīñ aatī
KHushi taqsim karti hun dil-azari nahin aati
mera maqsad hai gham-KHwari adakari nahin aati
yahan wo aage aata hai ki jo fankar hota hai
mujhe darweshi ke chole mein ayyari nahin aati
abhi sab kuchh mayassar hai kami koi nahin baqi
na-jaane phir bhi pahle jaisi sarshaari nahin aati
mere kuchh faisle mere nahin so darguzar karna
abhi sasural mein rahti hun inkari nahin aati
main jab matam ko jati hun kinare baiTh jati hun
yunhi aansu bahati hun aza-dari nahin aati
chalo jo bhi hua hum man ke rahen badalte hain
mujhe ab faislon mein koi dushwari nahin aati
main apne kamre se sari kitaben le to aai hun
wo jis mein lams tha tera wo almari nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.