KHushi yaad aai na gham yaad aae
ḳhushī yaad aa.ī na ġham yaad aa.e
mohabbat ke naaz o ni.am yaad aa.e
ye kyuuñ dam-ba-dam hichkiyāñ aa rahī haiñ
kiyā yaad tum ne ki ham yaad aa.e
guloñ kī ravish dekh kar gulsitāñ meñ
shahīdoñ ke naqsh-e-qadam yaad aa.e
buroñ kā bahut naam japtī hai duniyā
jo achchhe ziyāda the kam yaad aa.e
dam-e-naz.a jūñhī ajal muskurā.ī
achānak tumhāre karam yaad aa.e
musībat meñ bhī bār-hā 'vajd' mujh ko
ḳhudā jāntā hai sanam yaad aa.e
KHushi yaad aai na gham yaad aae
mohabbat ke naz o niam yaad aae
ye kyun dam-ba-dam hichkiyan aa rahi hain
kiya yaad tum ne ki hum yaad aae
gulon ki rawish dekh kar gulsitan mein
shahidon ke naqsh-e-qadam yaad aae
buron ka bahut nam japti hai duniya
jo achchhe ziyaada the kam yaad aae
dam-e-naza junhi ajal muskurai
achanak tumhaare karam yaad aae
musibat mein bhi bar-ha 'wajd' mujh ko
KHuda jaanta hai sanam yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.